resham resham titlī dekhūñ ḳhvāb-nagar kī vaadī meñ
kis kī ḳhushbū phail rahī hai dil kī vīrāñ bastī meñ
sat-rañgī sapnoñ meñ chehra sat-rañgī ho jaa.e hai
indr-dhanush kā rañg milā hai tumre naam kī haldī meñ
yuuñ to bābulī ke panghaT par sakhiyoñ ke sañg baiThī huuñ
lekin man kī gorī chupke chupke utre paanī meñ
hāthoñ kī mehñdī jo tumhāre naam kī maalā japtī hai
bijlī jaisī dauḌ paḌe hai nāzuk nāzuk uñglī meñ
aao sāñsoñ ke paañv meñ yuuñ paa.el ham pahnā deñ
merī maañg ke jagmag taare chamke tumrī pagḌī meñ
shīshe ke sapnoñ ko le kar pyaar kī ḳhātir aa.ī huuñ
haath mirā tum thaam ke chalnā jīvan kī pagDanDī meñ
rishtoñ ke bandhan ko toḌe aaj sajan ghar aa.ī huuñ
le kar kuchh yādoñ kī goyā bachpan kī ik peTī meñ
halkī halkī būñdā-bāndī phir bhī galiyāroñ meñ hai
giit milan kā guuñj rahā hai yuuñ to man kī vaadī meñ
an-jānī uljhan hai phir bhī sukh ke mausam meñ 'sāgar'
jaane jugnū kis ko DhūñDe añdhiyāroñ kī bastī meñ