vaqt ne rañg bahut badle kyā kuchh sailāb nahīñ aa.e
mirī āñkheñ kab vīrān huiiñ kab tere ḳhvāb nahīñ aa.e
dil sahrā kā vo tishna-lab har baar yahī sochā jis ne
mumkin hai ki aage dariyā ho aur koī sarāb nahīñ aa.e
ham log kyuuñ itne pareshāñ haiñ kis baat par āḳhir nālāñ haiñ
kyā saarī bahāreñ ruuTh ga.iiñ kyā ab ke gulāb nahīñ aa.e
tum qurb kī rāhat kyā samjho tum hijr kī vahshat kyā jaano
tum ne vo raat nahīñ kaaTī tum par vo azaab nahīñ aa.e
pahle bhī jahāñ par bichhḌe the vahī manzil thī is baar magar
vo bhī be-laus nahīñ lauTā ham bhī be-tāb nahīñ aa.e
ye bazm-e-'hilāl' hai ḳhuub magar jab tak na sunā.eñ aap ġhazal
chehroñ ke gulāb nahīñ mahkeñ mahfil pe shabāb nahīñ aa.e