ye visāl o hijr kā mas.ala to mirī samajh meñ na aa sakā
kabhī koī mujh ko na pā sakā kabhī maiñ kisī ko na pā sakā
ka.ī bastiyoñ ko ulaT chukā koī taab is kī na lā sakā
magar āñdhiyoñ kā ye silsila tirā naqsh-e-pā na miTā sakā
mirī dāstāñ bhī ajiib hai vo qadam qadam mire saath thā
jise rāz-e-dil na batā sakā jise dāġh-e-dil na dikhā sakā
na hī bijliyāñ na hī bārisheñ na hī dushmanoñ kī vo sāzisheñ
bhalā kyā sabab hai batā zarā jo tū aaj bhī nahīñ aa sakā
kabhī raushnī kī talab rahī kabhī hausloñ kī kamī rahī
maiñ charāġh ko tire naam ke na jalā sakā na bujhā sakā
vo jo aks rañg-e-'hilāl' thī vo jo aap apnī misāl thī
mujhe aaj tak hai ḳhalish yahī tujhe vo ġhazal na sunā sakā