Hilal Fareed

kabhi to sehn-e-ana se nikle kahin pe dasht-e-malal aaya

Hilal Fareed

Lucknow, Uttar pradesh, India

1959
kabhī to sehn-e-anā se nikle kahīñ pe dasht-e-malāl aayā
hamārī vahshat pe kaisā kaisā uruuj aayā zavāl aayā
adāvateñ thiiñ mohabbateñ thiiñ na jaane kitnī hī hasrateñ thiiñ
magar phir aisā huā ki sab kuchh maiñ ḳhud hī dil se nikāl aayā
kabhī ibādat kabhī ināyat kabhī duā.eñ kabhī atā.eñ
kahīñ pe dast-e-talab bane ham kahīñ pe ham tak savāl aayā
guloñ ke chehre khile hue haiñ havā meñ ḳhush-bū mahak rahī hai
ye merī āñkhoñ ne ḳhvāb dekhā ki sail-e-husn-o-jamāl aayā
tamām rañj o mehan ko chhoḌeñ tumhīñ ko dekheñ tumhīñ ko socheñ
baḌe zamāne ke ba.ad dil meñ ye bhūlā bisrā ḳhayāl aayā
ġhazal sunā.ūñ to daad pā.ūñ magar maiñ tum se bhī kyā chhupā.ūñ
tumhī ne saare hunar sikhā.e tumhī se rañg-e-'hilāl' aayā
Top Urdushayar.com