Hilal Fareed

hum KHud bhi hue nadim jab harf-e-dua nikla

Hilal Fareed

Lucknow, Uttar pradesh, India

1959
ham ḳhud bhī hue nādim jab harf-e-duā niklā
samjhe the jise patthar vo shaḳhs ḳhudā niklā
is dasht se ho kar bhī ik sail-e-anā niklā
kuchh barg-e-shajar TuuTe kuchh zor-e-havā niklā
uljhan kā sulajh jaanā ik ḳhām-ḳhayālī thī
jab ġhaur kiyā ham ne ik pech nayā niklā
ai fitrat-e-sad ma.anī 'ġhālib' kī ġhazal hai tū
jab husn tirā parkhā pahle se savā niklā
ham paas bhī jaane se jis shaḳhs ke Darte the
chhū kar jo use dekhā miTTī kā banā niklā
phūloñ meñ 'hilāl' aao ab raqs-e-ḳhizāñ dekheñ
kāñToñ ke nagar meñ to har baaġh harā niklā
Top Urdushayar.com