rukne ke liye dast-e-sitam-gar bhī nahīñ thā
afsos kisī haath meñ patthar bhī nahīñ thā
bāhar jo nahīñ thā to koī baat nahīñ thī
ehsās-e-nadāmt magar andar bhī nahīñ thā
jannat na mujhe dī to maiñ dozaḳh bhī na lūñgā
momin jo nahīñ thā to maiñ kāfir bhī nahīñ thā
lauTā jo vatan ko to vo raste hī nahīñ the
jo ghar thā vahāñ vo to mirā ghar bhī nahīñ thā
anjām to zāhir thā safeñ TuuT chukī thiiñ
sālār-e-muazzaz sar-e-lashkar bhī nahīñ thā
afsos qabīle pe khulā ġhair ke hāthoñ
sardār ke pahlū meñ to ḳhanjar bhī nahīñ thā
jo baat kahī thī vo bahut saaf kahī thī
dil meñ jo nahīñ thā vo zabāñ par bhī nahīñ thā
ye sach hai qasīda na 'hilāl' ek bhī likkhā
ye sach hai ki maiñ shaah kā naukar bhī nahīñ thā