Hilal Fareed

thi ajab hi dastan jab tamam ho gai

Hilal Fareed

Lucknow, Uttar pradesh, India

1959
thī ajab hī dāstāñ jab tamām ho ga.ī
ik misāl ban ga.ī ik payām ho ga.ī
raat jab javāñ huī jab diyoñ ke sar uThe
tab havā bhī aur kuchh tez-gām ho ga.ī
ek bas nazar paḌī us ke baad yuuñ huā
maiñ ne jo ġhazal likhī tere naam ho ga.ī
miT rahī thī tishnagī baḌh rahī thī dostī
phir anā kī teġh kyuuñ be-niyām ho ga.ī
falsafe ko chhoḌiye kyā kaheñge sochiye
zindagī jo aap se ham-kalām ho ga.ī
tanz to bahut hue par ajiib baat hai
raah jo hamārī thī rāh-e-ām ho ga.ī
kaisī umda qaum thī kyā hī zinda qaum thī
āḳhir us ko kyā huā kyuuñ ġhulām ho ga.ī
jām-e-ishq pī chuke zindagī bhī jī chuke
ab 'hilāl' ghar chalo ab to shaam ho ga.ī
Top Urdushayar.com