vahī huā ki ḳhud bhī jis kā ḳhauf thā mujhe
charāġh ko jalā ke bas dhuāñ milā mujhe
kabhī miTā sakā na koī dūsrā mujhe
shikast de ga.ī magar mirī anā mujhe
javāb is savāl kā bhī de zarā mujhe
uḌā ke laa.ī hai yahāñ pe kyuuñ havā mujhe
harī-bharī sī shāḳh par khilā huā gulāb
na jaane ek ḳhaar kyuuñ chubhā gayā mujhe
us ajnabī se vāsta zarūr thā koī
vo jab kabhī milā to bas mirā lagā mujhe
abhī na mujh ko Tokiye abhī to zindagī
sunā rahī hai giit roz ik nayā mujhe
ye muddatoñ ke baad jo kahī ġhazal 'hilāl'
vo kaun hai jo aaj yaad aa gayā mujhe