āñkhoñ meñ vo ḳhvāb nahīñ baste pahlā sā vo haal nahīñ hotā
ab fasl-e-bahār nahīñ aatī aur rañj o malāl nahīñ hotā
is aql kī maarī nagrī meñ kabhī paanī aag nahīñ bantā
yahāñ ishq bhī log nahīñ karte yahāñ koī kamāl nahīñ hotā
ham aaj bahut hī pareshāñ haiñ is vaqt ke pher se hairāñ haiñ
hameñ le ke chalo kisī aisī taraf jahāñ hijr o visāl nahīñ hotā
jitnī hai nadāmat tum ko ab utne hī pashīmāñ ham bhī haiñ
tum us kā javāb hī kyuuñ socho ham se jo savāl nahīñ hotā
vo bastī bhī ik bastī thī ye bastī bhī ik bastī hai
vahāñ TuuT ke dil juḌ jaate the yahāñ koī ḳhayāl nahīñ hotā
is shahr kī riit ko aam kareñ jhuk jhuk ke sabhī ko salām kareñ
har kaam to ham kar lete haiñ yahī kaam 'hilāl' nahīñ hotā