aañsū to koī aañkh meñ laayā nahīñ huuñ maiñ
jaisā magar lagā tumheñ vaisā nahīñ huuñ maiñ
ab mubtalā-e-ishq zyāda nahīñ huuñ maiñ
kahte ho tum yahī to phir achchhā nahīñ huuñ maiñ
ḳhūbī na ho koī magar itnā to hai zarūr
jhūTī lage jo baat vo kahtā nahīñ huuñ maiñ
paanī pe bante aks kī mānind huuñ magar
āñkhoñ meñ koī bhar le to miTtā nahīñ huuñ maiñ
is tarah ḳhud ko mujh pe numāyāñ na kījiye
insān huuñ huzūr farishta nahīñ huuñ maiñ
rastoñ ke ḳham va pech meñ aisā rahā huuñ ġharq
ab tak kisī maqām pe Thahrā nahīñ huuñ maiñ
saudā hai mere sar meñ to pairoñ meñ bhī hai dam
chaltā huuñ ek baar to ruktā nahīñ huuñ maiñ
maano mirī bhī baat ki sab kuchh luTā ke bhī
jiitā huuñ us ke ishq meñ haarā nahīñ huuñ maiñ
sun lo 'hilāl' aaj hī sunñā hai jo ġhazal
phir mujh se mat ye kahnā sunātā nahīñ huuñ maiñ