mirī sachchā.ī har sūrat tirī muTThī se niklegī
añgūThī gir ke dariyā meñ kisī machhlī se niklegī
faqīroñ ko tū apnī shān-o-shaukat kyā dikhātā hai
hukūmat saare aalam kī mirī gaThrī se niklegī
maiñ tanhā hī nahīñ jo be-sabab sach bol dete haiñ
ye bīmārī ġharīboñ kī har ik bastī se niklegī
inhīñ zaḳhmoñ ko mere dard kā baa.is na jaano tum
nishānī aur bhī ujḌī huī dillī se niklegī
mohabbat kī bulandī paar kar ke tum kabhī dekho
anal-haq kī sadā bahtī huī lakḌī se niklegī
ġharībī duur karne āsmāñ se kaun aa.egā
ḳhazāne se bharī gagrī isī miTTī se niklegī
abhī do-chār jumloñ se bharā kāġhaz kā TukḌā hai
ḳhizāñ aane do phir ḳhushbū mirī chiTThī se niklegī
qarābat to mayassar hai magar ye dil kī tanhā.ī
mirī marzī se aa.ī hai mirī marzī se niklegī
añdherā dekhnā ḳhud le ke aa.egā diyā merā
kisī din raushnī 'sāgar' isī āñdhī se niklegī