Raees Rampuri

jab se dil mein tere baKHshe hue gham Thahre hain

Raees Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1930
jab se dil meñ tire baḳhshe hue ġham Thahre haiñ
mahram aur bhī apne liye ham Thahre haiñ
ġham ki har daur meñ Thahrā.e ga.e hāsil-e-zīst
aur is daur meñ ham sāhab-e-ġham Thahre haiñ
ham tirī raah meñ uTThe haiñ baḌe azm ke saath
gardish-e-dahr bhī Thahrī hai jo ham Thahre haiñ
shauq-e-āvārgī-o-shauq talab ke qurbāñ
uTh ga.e haiñ to kahāñ apne qadam Thahre haiñ
maiñ tasavvur se kabhī jin ke laraz uThtā thā
vahī hālāt mohabbat kā bharam Thahre haiñ
maġhfirat hī sahī mai-ḳhāna-o-mai ke ma.anī
ki yahāñ aaj safīrān-e-haram Thahre haiñ
sirf āñkhoñ hī meñ kam ruk na sake merī 'ra.īs'
mere aañsū kisī dāman meñ bhī kam Thahre haiñ
Top Urdushayar.com