nazar nazar meñ liye terā pyaar phirte haiñ
misāl-e-mauj-e-nasīm-e-bahār phirte haiñ
tire dayār se zarroñ ne raushnī paa.ī
tire dayār meñ ham sogvār phirte haiñ
ye hādisa bhī ajab hai ki tere dīvāne
lagā.e dil se ġham-e-rozgār phirte haiñ
liye hue haiñ do aalam kā dard siine meñ
tirī galī meñ jo dīvāna-vār phirte haiñ
bahār aa ke chalī bhī ga.ī magar 'jālib'
abhī nigāh meñ vo lāla-zār phirte haiñ