'mīr'-o-'ġhālib' bane 'yagānā' bane
aadmī ai ḳhudā ḳhudā na bane
maut kī dastaras meñ kab se haiñ
zindagī kā koī bahāna bane
apnā shāyad yahī thā jurm ai dost
bā-vafā ban ke be-vafā na bane
ham pe ik e'tirāz ye bhī hai
be-navā ho ke be-navā na bane
ye bhī apnā qusūr kyā kam hai
kisī qātil ke ham-navā na bane
kyā gila sañg-dil zamāne kā
āshnā hī jab āshnā na bane
chhoḌ kar us galī ko ai 'jālib'
ik haqīqat se ham fasāna bane