jab koī kalī sehn-e-gulistāñ meñ khilī hai
shabnam mirī āñkhoñ meñ vahīñ tair ga.ī hai
jis kī sar-e-aflāk baḌī dhuum machī hai
āshufta-sarī hai mirī āshufta-sarī hai
apnī to ujāloñ ko tarastī haiñ nigāheñ
sūraj kahāñ niklā hai kahāñ sub.h huī hai
bichhḌī huī rāhoñ se jo guzre haiñ kabhī ham
har gaam pe khoī huī ik yaad milī hai
ik umr sunā.eñ to hikāyat na ho puurī
do roz meñ ham par jo yahāñ biit ga.ī hai
hañsne pe na majbūr karo log hañseñge
hālāt kī tafsīr to chehre pe likhī hai
mil jaa.eñ kahīñ vo bhī to un ko bhī sunā.eñ
'jālib' ye ġhazal jin ke liye ham ne kahī hai