afsos tumheñ car ke shīshe kā huā hai
parvā nahīñ ik maañ kā jo dil TuuT gayā hai
hotā hai asar tum pe kahāñ nāla-e-ġham kā
barham jo huī bazm-e-tarab is kā gilā hai
fir.aun bhī namrūd bhī guzre haiñ jahāñ meñ
rahtā hai yahāñ kaun yahāñ kaun rahā hai
tum zulm kahāñ tak tah-e-aflāk karoge
ye baat na bhūlo ki hamārā bhī ḳhudā hai
āzādi-e-insāñ ke vahīñ phuul khileñge
jis jā pe zahīr aaj tirā ḳhuun girā hai
tā-chand rahegī ye shab-e-ġham kī siyāhī
rasta koī sūraj kā kahīñ rok sakā hai
tū aaj kā shā.ir hai to kar merī tarah baat
jaise mire hoñToñ pe mire dil kī sadā hai