Habib Jalib

baTe rahoge to apna yunhi bahega lahu

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
baTe rahoge to apnā yūñhī bahegā lahū
hue na ek to manzil na ban sakegā lahū
ho kis ghamanD meñ ai laḳht laḳht dīda-varo
tumheñ bhī qātil-e-mehnat-kashāñ kahegā lahū
isī tarah se agar tum anā-parast rahe
ḳhud apnā rāh-numā aap hī banegā lahū
suno tumhāre garebān bhī nahīñ mahfūz
Daro tumhārā bhī ik din hisāb legā lahū
agar na ahd kiyā ham ne ek hone kā
ġhanīm sab kā yūñhī bechtā rahegā lahū
kabhī kabhī mire bachche bhī mujh se pūchhte haiñ
kahāñ tak aur tū ḳhushk apnā hī karegā lahū
sadā kahā yahī maiñ ne qarīb-tar hai vo duur
ki jis meñ koī hamārā na pī sakegā lahū
Top Urdushayar.com