apnoñ ne vo rañj diye haiñ begāne yaad aate haiñ
dekh ke us bastī kī hālat vīrāne yaad aate haiñ
us nagrī meñ qadam qadam pe sar ko jhukānā paḌtā hai
us nagrī meñ qadam qadam par but-ḳhāne yaad aate haiñ
āñkheñ pur-nam ho jaatī haiñ ġhurbat ke sahrāoñ meñ
jab us rim-jhim kī vaadī ke afsāne yaad aate haiñ
aise aise dard mile haiñ na.e dayāroñ meñ ham ko
bichhḌe hue kuchh log purāne yārāne yaad aate haiñ
jin ke kāran aaj hamāre haal pe duniyā hastī hai
kitne zālim chehre jaane pahchāne yaad aate haiñ
yuuñ na luTī thī galiyoñ daulat apne ashkoñ kī
rote haiñ to ham ko apne ġham-ḳhāne yaad aate haiñ
koī to parcham le kar nikle apne garebāñ kā 'jālib'
chāroñ jānib sannāTā hai dīvāne yaad aate haiñ