Habib Jalib

ab teri zarurat bhi bahut kam hai meri jaan

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
ab terī zarūrat bhī bahut kam hai mirī jaañ
ab shauq kā kuchh aur hī aalam hai mirī jaañ
ab tazkira-e-ḳhanda-e-gul baar hai jī par
jaañ vaqf-e-ġham-e-giriya-e-shabnam hai mirī jaañ
ruḳh par tire bikhrī huī ye zulf-e-siyah-tāb
tasvīr-e-pareshāni-e-ālam hai mirī jaañ
ye kyā ki tujhe bhī hai zamāne se shikāyat
ye kyā ki tirī aañkh bhī pur-nam hai mirī jaañ
ham sāda-diloñ par ye shab-e-ġham kā tasallut
māyūs na ho aur koī dam hai mirī jaañ
ye terī tavajjoh kā hai ejaaz ki mujh se
har shaḳhs tire shahr kā barham hai mirī jaañ
ai nuz.hat-e-mahtāb tirā ġham hai mirī ziist
ai nāzish-e-ḳhurshīd tirā ġham hai mirī jaañ
Top Urdushayar.com