jhūTī ḳhabreñ ghaḌne vaale jhūTe sher sunāne vaale
logo sabr ki apne kiye kī jald sazā haiñ paane vaale
dard āñkhoñ se bahtā hai aur chehra sab kuchh kahtā hai
ye mat likkho vo mat likkho aa.e baḌe samjhāne vaale
ḳhud kāTeñge apnī mushkil ḳhud pā.eñge apnī manzil
rāhzanoñ se bhī bad-tar haiñ rāh-numā kahlāne vaale
un se pyaar kiyā hai ham ne un kī raah meñ ham baiThe haiñ
nā-mumkin hai jin kā milnā aur nahīñ jo aane vaale
un par bhī hañstī thī duniyā āvāzeñ kastī thī duniyā
'jālib' apnī hī sūrat the ishq meñ jaañ se jaane vaale