jahāñ haiñ mahbūs ab bhī ham vo haram-sarā.eñ nahīñ raheñgī
larazte hoñToñ pe ab hamāre faqat duā.eñ nahīñ raheñgī
ġhasab-shuda haq pe chup na rahnā hamārā manshūr ho gayā hai
uThegā ab shor har sitam par dabī sadā.eñ nahīñ raheñgī
hamāre azm-e-javāñ ke aage hamāre sail-e-ravāñ ke aage
purāne zālim nahīñ tikeñge na.ī balā.eñ nahīñ raheñgī
ye qatl-gāheñ ye adl-gāheñ inheñ bhalā kis tarah sarāheñ
ġhulām aadil nahīñ raheñge ġhalat sazā.eñ nahīñ raheñgī
bane haiñ jo ḳhādimān-e-millat vo karnā sīkheñ hamārī izzat
vagarna un ke tanoñ pe bhī ye sajī qabā.eñ nahīñ raheñgī