daraḳht suukh ga.e ruk ga.e nadī naale
ye kis nagar ko ravāna hue haiñ ghar vaale
kahāniyāñ jo sunāte the ahd-e-rafta kī
nishāñ vo gardish-e-ayyām ne miTā Daale
maiñ shahr shahr phirā huuñ isī tamannā meñ
kisī ko apnā kahūñ koī mujh ko apnā le
sadā na de kisī mahtāb ko añdheroñ meñ
lagā na de ye zamāna zabān par taale
koī kiran hai yahāñ to koī kiran hai vahāñ
dil o nigāh ne kis darja rog haiñ paale
hamīñ pe un kī nazar hai hamīñ pe un kā karam
ye aur baat yahāñ aur bhī haiñ dil vaale
kuchh aur tujh pe khuleñgī haqīqateñ 'jālib'
jo ho sake to kisī kā fareb bhī khā le