zarre hī sahī koh se Takrā to ga.e ham
dil le ke sar-e-arsa-e-ġham aa to ga.e ham
ab naam rahe yā na rahe ishq meñ apnā
rūdād-e-vafā daar pe dohrā to ga.e ham
kahte the jo ab koī nahīñ jaañ se guzartā
lo jaañ se guzar kar unheñ jhuTlā to ga.e ham
jaañ apnī gañvā kar kabhī ghar apnā jalā kar
dil un kā har ik taur se bahlā to ga.e ham
kuchh aur hī aalam thā pas-e-chehra-e-yārāñ
rahtā jo yūñhī raaz use pā to ga.e ham
ab soch rahe haiñ ki ye mumkin hī nahīñ hai
phir un se na milne kī qasam khā to ga.e ham
uTTheñ ki na uTTheñ ye razā un kī hai 'jālib'
logoñ ko sar-e-dār nazar aa to ga.e ham