Habib Jalib

kya kya log guzar jate hain rang-birangi caron mein

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
kyā kyā log guzar jaate haiñ rañg-birañgī caroñ meñ
dil ko thaam ke rah jaate haiñ dil vaale bāzāroñ meñ
ye be-dard zamāna ham se terā dard na chhīn sakā
ham ne dil kī baat kahī hai tīroñ meñ talvāroñ meñ
hoñToñ par aa.heñ kyuuñ hotīñ āñkheñ nis-din kyuuñ rotīñ
koī agar apnā bhī hotā ūñche ohde-dāroñ meñ
sadr-e-mahfil daad jise de daad usī ko miltī hai
haa.e kahāñ ham aan phañse haiñ zālim duniyā-dāroñ meñ
rahne ko ghar bhī mil jaatā chāk-e-jigar bhī sil jaatā
'jālib' tum bhī sher sunāte jā ke agar darbāroñ meñ
Top Urdushayar.com