bāteñ to kuchh aisī haiñ ki ḳhud se bhī na kī jaa.eñ
sochā hai ḳhamoshī se har ik zahr ko pī jaa.eñ
apnā to nahīñ koī vahāñ pūchhne vaalā
us bazm meñ jaanā hai jinheñ ab to vahī jaa.eñ
ab tujh se hameñ koī ta.alluq nahīñ rakhnā
achchhā ho ki dil se tirī yādeñ bhī chalī jaa.eñ
ik umr uThā.e haiñ sitam ġhair ke ham ne
apnoñ kī to ik pal bhī jafā.eñ na sahī jaa.eñ
'jālib' ġham-e-daurāñ ho ki yād-e-ruḳh-e-jānāñ
tanhā mujhe rahne deñ mire dil se sabhī jaa.eñ