ham ne dil se tujhe sadā maanā
tū baḌā thā tujhe baḌā maanā
'mīr'-o-'ġhālib' ke ba.ad 'anīs' ke ba.ad
tujh ko maanā baḌā bajā maanā
tū ki dīvāna-e-sadāqat thā
tū ne bande ko kab ḳhudā maanā
tujh ko parvā na thī zamāne kī
tū ne dil hī kā har kahā maanā
tujh ko ḳhud pe thā e'timād itnā
ḳhud hī ko to na rahnumā maanā
kī na shab kī kabhī pazīrā.ī
sub.h ko lā.eq-e-sanā maanā
hañs diyā sat.h-e-zehn-e-ālam par
jab kisī baat kā burā maanā
yuuñ to shā.ir the aur bhī ai 'josh'
ham ne tujh sā na dūsrā maanā