Habib Jalib

ghazlen to kahi hain kuchh humne un se na kaha ahwal to kya

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
ġhazleñ to kahī haiñ kuchh ham ne un se na kahā ahvāl to kyā
kal misl-e-sitāra ubhreñge haiñ aaj agar pāmāl to kyā
jiine kī duā dene vaale ye raaz tujhe ma.alūm nahīñ
taḳhlīq kā ik lamha hai bahut be-kār jiye sau saal to kyā
sikkoñ ke evaz jo bik jaa.e vo merī nazar meñ husn nahīñ
ai sham-e-shabistān-e-daulat tū hai jo parī-timsāl to kyā
har phuul ke lab par naam mirā charchā hai chaman meñ aam mirā
shohrat kī ye daulat kyā kam hai gar paas nahīñ hai maal to kyā
ham ne jo kiyā mahsūs kahā jo dard milā hañs hañs ke sahā
bhūlegā na mustaqbil ham ko nālāñ hai jo ham se haal to kyā
ham ahl-e-mohabbat pā leñge apne hī sahāre manzil ko
yārān-e-siyāsat ne har-sū phailā.e haiñ rañgīñ jaal to kyā
duniyā-e-adab meñ ai 'jālib' apnī bhī koī pahchān to ho
'iqbāl' kā rañg uḌāne se tū ban bhī gayā 'iqbāl' to kyā
Top Urdushayar.com