Habib Jalib

aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadāqat likhnā
rah gayā kaam hamārā hī baġhāvat likhnā
laakh kahte raheñ zulmat ko na zulmat likhnā
ham ne sīkhā nahīñ pyāre ba-ijāzat likhnā
na sile kī na satā.ish kī tamannā ham ko
haq meñ logoñ ke hamārī to hai aadat likhnā
ham ne jo bhuul ke bhī shah kā qasīda na likhā
shāyad aayā isī ḳhūbī kī badaulat likhnā
is se baḌh kar mirī tahsīn bhalā kyā hogī
paḌh ke nā-ḳhush haiñ mirā sāhab-e-sarvat likhnā
dahr ke ġham se huā rabt to ham bhuul ga.e
sarv qāmat ko javānī ko qayāmat likhnā
kuchh bhī kahte haiñ kahīñ shah ke musāhib 'jālib'
rañg rakhnā yahī apnā isī sūrat likhnā
Top Urdushayar.com