dayār-e-'dāġh'-o-'beḳhud' shahr-e-dehlī chhoḌ kar tujh ko
na thā ma.alūm yuuñ ro.egā dil shām-o-sahar tujh ko
kahāñ milte haiñ duniyā ko kahāñ milte haiñ duniyā meñ
hue the jo atā ahl-e-suḳhan ahl-e-nazar tujh ko
tujhe markaz kahā jaatā thā duniyā kī nigāhoñ kā
mohabbat kī nazar se dekhte the sab nagar tujh ko
ba-qaul-e-'mīr' aurāq-e-musavvar the tire kūche
magar haa.e zamāne kī lagī kaisī nazar tujh ko
na bhūlegā hamārī dāstāñ tū bhī qayāmat tak
dilā.eñge hamārī yaad tere rahguzar tujh ko
jo tere ġham meñ bahtā hai vo aañsū rashk-e-gauhar hai
samajhte haiñ matā-e-dīda-o-dil dīda-var tujh ko
maiñ 'jālib'-dehlavī kahlā nahīñ saktā zamāne meñ
magar samjhā hai maiñ ne aaj tak apnā hī ghar tujh ko