kitnā sukūt hai rasan-o-dār kī taraf
aatā hai kaun jur.at-e-iz.hār kī taraf
dasht-e-vafā meñ ābla-pā koī ab nahīñ
sab jā rahe haiñ sāya-e-dīvār kī taraf
qasr-e-shahī se kahte haiñ niklegā mehr-e-nau
ahl-e-ḳhirad haiñ is liye sarkār kī taraf
veitnam-o-Korea se adū ko nikāl leñ
ā.eñge lauT kar lab-o-ruḳhsār kī taraf
baaqī jahāñ meñ rah gayā 'ġhālib' kā naam hī
har-chand ik hujūm thā aġhyār kī taraf