nafi ko yuuñ isbāt karo
ḳhatm tum apnī zaat karo
duniyā se jab milne jaao
pahle ḳhud se baat karo
din bhar mere saath rahe
ḳhud meñ basar ab raat karo
raat kī zulf sañvar jaa.e
hijr ko gar mashshāt karo
naam mirā dil par likhvāo
dhaḌkan ko ḳhattāt karo
mujh par aise pyaar luTāo
sāgar par barsāt karo
baat hai mere baare meñ
lahje ko mohtāt karo
jab bhī suḳhan-e-bisāt bichhe
har shātir ko maat karo
umr kī pūñjī ḳhatm na ho
kam kuchh iḳhrājāt karo
ain kā amrit chakhne ko
tark sabhī lazzāt karo