Habib Jalib

dil walo kyun dil si daulat yun be-kar luTate ho

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
dil vaalo kyuuñ dil sī daulat yuuñ be-kār luTāte ho
kyuuñ is añdhiyārī bastī meñ pyaar kī jot jagāte ho
tum aisā nādān jahāñ meñ koī nahīñ hai koī nahīñ
phir in galiyoñ meñ jaate ho pag pag Thokar khāte ho
sundar kaliyo komal phūlo ye to batāo ye to kaho
āḳhir tum meñ kyā jaadū hai kyuuñ man meñ bas jaate ho
ye mausam rim-jhim kā mausam ye barkhā ye mast fazā
aise meñ aao to jāneñ aise meñ kab aate ho
ham se ruuTh ke jaane vaalo itnā bhed batā jaao
kyuuñ nit raato ko sapnoñ meñ aate ho man jaate ho
chāñd-sitāroñ ke jhurmuT meñ phūloñ kī muskāhaT meñ
tum chhup-chhup kar hañste ho tum ruup kā maan baḌhāte ho
chalte phirte raushan raste tārīkī meñ Duub ga.e
so jaao ab 'jālib' tum bhī kyuuñ āñkheñ sulgāte ho
Top Urdushayar.com