tire māthe pe jab tak bal rahā hai
ujālā aañkh se ojhal rahā hai
samāte kyā nazar meñ chāñd taare
tasavvur meñ tirā āñchal rahā hai
tirī shān-e-taġhāful ko ḳhabar kyā
koī tere liye be-kal rahā hai
shikāyat hai ġham-e-daurāñ ko mujh se
ki dil meñ kyuuñ tirā ġham pal rahā hai
ta.ajjub hai sitam kī āñdhiyoñ meñ
charāġh-e-dil abhī tak jal rahā hai
lahū ro.eñgī maġhrib kī fazā.eñ
baḌī tezī se sūraj Dhal rahā hai
zamāna thak gayā 'jālib' hī tanhā
vafā ke rāste par chal rahā hai