shahr vīrāñ udaas haiñ galiyāñ
rahguzāroñ se uTh rahā hai dhuāñ
ātish-e-ġham meñ jal rahe haiñ dayār
gard-ālūd hai ruḳh-e-daurāñ
bastiyoñ par ġhamoñ kī yūrish hai
qarya qarya hai vaqf-e-āh-o-fuġhāñ
sub.h be-nūr shaam be-māya
luT ga.ī daulat-e-nigāh kahāñ
phir rahe haiñ tuyūr āvāra
barq har shāḳh par hai shoa.la-fishāñ
merī tanhā.iyoñ pe sūrat-e-sham.a
ro rahā hai alam-nasīb samāñ
mere shānoñ se terī zulfoñ tak
fāsla umr kā hai merī jaañ