Habib Jalib

dil-e-pur-shauq ko pahlu mein dabae rakkha

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
dil-e-pur-shauq ko pahlū meñ dabā.e rakkhā
tujh se bhī ham ne tirā pyaar chhupā.e rakkhā
chhoḌ is baat ko ai dost ki tujh se pahle
ham ne kis kis ko ḳhayāloñ meñ basā.e rakkhā
ġhair mumkin thī zamāne ke ġhamoñ se fursat
phir bhī ham ne tirā ġham dil meñ basā.e rakkhā
phuul ko phuul na kahte so use kyā kahte
kyā huā ġhair ne collar pe sajā.e rakkhā
jaane kis haal meñ haiñ kaun se shahroñ meñ haiñ vo
zindagī apnī jinheñ ham ne banā.e rakkhā
haa.e kyā log the vo log parī-chehra log
ham ne jin ke liye duniyā ko bhulā.e rakkhā
ab mileñ bhī to na pahchān sakeñ ham un ko
jin ko ik umr ḳhayāloñ meñ basā.e rakkhā
Top Urdushayar.com