jāgne vaalo tā-ba-sahar ḳhāmosh raho
kal kyā hogā kis ko ḳhabar ḳhāmosh raho
kis ne sahar ke paañv meñ zanjīreñ Dālīñ
ho jā.egī raat basar ḳhāmosh raho
shāyad chup rahne meñ izzat rah jaa.e
chup hī bhalī ai ahl-e-nazar ḳhāmosh raho
qadam qadam par pahre haiñ in rāhoñ meñ
dār-o-rasan kā hai ye nagar ḳhāmosh raho
yuuñ bhī kahāñ be-tābi-e-dil kam hotī hai
yuuñ bhī kahāñ ārām magar ḳhāmosh raho
sher kī bāteñ ḳhatm huiiñ is aalam meñ
kaisā 'josh' aur kis kā 'jigar' ḳhāmosh raho