bahut raushan hai shām-e-ġham hamārī
kisī kī yaad hai hamdam hamārī
ġhalat hai lā-ta.alluq haiñ chaman se
tumhāre phuul aur shabnam hamārī
ye palkoñ par na.e aañsū nahīñ haiñ
azal se aañkh hai pur-nam hamārī
har ik lab par tabassum dekhne kī
tamannā kab huī hai kam hamārī
kahī hai ham ne ḳhud se bhī bahut kam
na pūchho dāstān-e-ġham hamārī