Habib Jalib

us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
us ra.ūnat se vo jiite haiñ ki marnā hī nahīñ
taḳht par baiThe haiñ yuuñ jaise utarnā hī nahīñ
yuuñ mah-o-anjum kī vaadī meñ uḌe phirte haiñ vo
ḳhaak ke zarroñ pe jaise paañv dharnā hī nahīñ
un kā da.avā hai ki sūraj bhī unhī kā hai ġhulām
shab jo ham par aa.ī hai us ko guzarnā hī nahīñ
kyā ilaaj us kā agar ho mudda.ā un kā yahī
ehtimām rañg-o-bū gulshan meñ karnā hī nahīñ
zulm se haiñ barsar-e-paikār āzādī-pasand
un pahāḌoñ meñ jahāñ par koī jharnā hī nahīñ
dil bhī un ke haiñ siyah ḳhūrāk-e-zindāñ kī tarah
un se apnā ġham bayāñ ab ham ko karnā hī nahīñ
intihā kar leñ sitam kī log abhī haiñ ḳhvāb meñ
jaag uTThe jab log to un ko Thaharnā hī nahīñ
Top Urdushayar.com