dil kī baat laboñ par lā kar ab tak ham dukh sahte haiñ
ham ne sunā thā is bastī meñ dil vaale bhī rahte haiñ
biit gayā sāvan kā mahīna mausam ne nazreñ badlīñ
lekin in pyāsī āñkhoñ se ab tak aañsū bahte haiñ
ek hameñ āvāra kahnā koī baḌā ilzām nahīñ
duniyā vaale dil vāloñ ko aur bahut kuchh kahte haiñ
jin kī ḳhātir shahr bhī chhoḌā jin ke liye badnām hue
aaj vahī ham se begāne begāne se rahte haiñ
vo jo abhī is rāhguzar se chāk-garebāñ guzrā thā
us āvāra dīvāne ko 'jālib' 'jālib' kahte haiñ