sher se shā.irī se Darte haiñ
kam-nazar raushnī se Darte haiñ
log Darte haiñ dushmanī se tirī
ham tirī dostī se Darte haiñ
dahr meñ āh-e-be-kasāñ ke sivā
aur ham kab kisī se Darte haiñ
ham ko ġhairoñ se Dar nahīñ lagtā
apne ahbāb hī se Darte haiñ
dāvar-e-hashr baḳhsh de shāyad
haañ magar maulvī se Darte haiñ
rūThtā hai to ruuTh jaa.e jahāñ
un kī ham be-ruḳhī se Darte haiñ
har qadam par hai mohtasib 'jālib'
ab to ham chāñdnī se Darte haiñ