jīvan mujh se maiñ jīvan se sharmātā huuñ
mujh se aage jaane vaalo meñ aatā huuñ
jin kī yādoñ se raushan haiñ merī āñkheñ
dil kahtā hai un ko bhī maiñ yaad aatā huuñ
sur se sāñsoñ kā naatā hai toḌūñ kaise
tum jalte ho kyuuñ jiitā huuñ kyuuñ gaatā huuñ
tum apne dāman meñ sitāre baiTh kar Tāñko
aur maiñ na.e baran lafzoñ ko pahnātā huuñ
jin ḳhvāboñ ko dekh ke maiñ ne jiinā sīkhā
un ke aage har daulat ko Thukrātā huuñ
zahr ugalte haiñ jab mil kar duniyā vaale
mīThe boloñ kī vaadī meñ kho jaatā huuñ
'jālib' mere sher samajh meñ aa jaate haiñ
isī liye kam-rutba shā.er kahlātā huuñ