Habib Jalib

ghaalib-o-yagana se log bhi the jab tanha

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
'ġhālib'-o-'yagāna' se log bhī the jab tanhā
ham se tai na hogī kyā manzil-e-adab tanhā
fikr-e-anjuman kis ko kaisī anjuman pyāre
apnā apnā ġham sab kā sochiye to sab tanhā
sun rakho zamāne kī kal zabān par hogī
ham jo baat karte haiñ aaj zer-e-lab tanhā
apnī rahnumā.ī meñ kī hai zindagī ham ne
saath kaun thā pahle ho ga.e jo ab tanhā
mehr-o-māh kī sūrat muskurā ke guzre haiñ
ḳhāk-dān-e-tīra se ham bhī roz-o-shab tanhā
kitne log aa baiThe paas mehrbāñ ho kar
ham ne ḳhud ko paayā hai thoḌī der jab tanhā
yaad bhī hai saath un kī aur ġham-e-zamāna bhī
zindagī meñ ai 'jālib' ham hue haiñ kab tanhā
Top Urdushayar.com