chuur thā zaḳhmoñ se dil zaḳhmī jigar bhī ho gayā
us ko rote the ki suunā ye nagar bhī ho gayā
log usī sūrat pareshāñ haiñ jidhar bhī dekhiye
aur vo kahte haiñ koh-e-ġham to sar bhī ho gayā
bām-o-dar par hai musallat aaj bhī shām-e-alam
yuuñ to in galiyoñ se ḳhurshīd-e-sahar bhī ho gayā
us sitamgar kī haqīqat ham pe zāhir ho ga.ī
ḳhatm ḳhush-fahmī kī manzil kā safar bhī ho gayā