kahīñ aah ban ke lab par tirā naam aa na jaa.e
tujhe bevafā kahūñ maiñ vo maqām aa na jaa.e
zarā zulf ko sambhālo mirā dil dhaḌak rahā hai
koī aur tā.ir-e-dil tah-e-dām aa na jaa.e
jise sun ke TuuT jaa.e mirā aarzū bharā dil
tirī anjuman se mujh ko vo payām aa na jaa.e
vo jo manziloñ pe lā kar kisī ham-safar ko lūTeñ
unhīñ rahzanoñ meñ terā kahīñ naam aa na jaa.e
isī fikr meñ haiñ ġhaltāñ ye nizām-e-zar ke bande
jo tamām-e-zindagī hai vo nizām aa na jaa.e
ye mah o nujūm hañs leñ mire āñsuoñ pe 'jālib'
mirā māhtāb jab tak lab-e-bām aa na jaa.e