Neelam Malik

bahr mein daere to honge hi

Neelam Malik

Lahore, Punjab, Pakistan

bahr meñ dā.ere to hoñge hī
pyaar meñ vasvase to hoñge hī
ḳhvāb thā us kī shoḳh āñkhoñ kā
ḳhvāb ke zāviye to hoñge hī
roz tum phūl-ban meñ jaate the
lāziman gul khile to hoñge hī
ye koī ishq to nahīñ hai huzūr
job hai mas.ale to hoñge hī
dil hai vīrāñ to rah nahīñ saktā
dard is meñ base to hoñge hī
ye mohabbat hai dostī to nahīñ
ma.azarat shukriye tau hoñge hī
jab mohabbat pe baat kī tum ne
log tum par hañse to hoñge hī
bhāgte vaqt ke ka.ī lamhe
camere se khiñche to hoñge hī
aap gaaḌī baḌhā.iye apnī
road par hādse to hoñge hī
sach zarā hausle se suniyegā
lafz kuchh khurdure to hoñge hī
aap jab dekhte haiñ ā.īna
aa.ine dekhte to hoñge hī
ho na ho is ġhazal meñ kaifiyyat
munfarid qāfiye to hoñge hī
tāza-kārī kī mashq jaarī hai
sher meñ chuTkule to hoñge hī
Top Urdushayar.com