vatan ko kuchh nahīñ ḳhatra nizām-e-zar hai ḳhatre meñ
haqīqat meñ jo rahzan hai vahī rahbar hai ḳhatre meñ
jo baiThā hai saf-e-mātam bichhā.e marg-e-zulmat par
vo nauhagar hai ḳhatre meñ vo dānish-var hai ḳhatre meñ
agar tashvīsh lāhaq hai to sultānoñ ko lāhaq hai
na terā ghar hai ḳhatre meñ na merā ghar hai ḳhatre meñ
jahāñ 'iqbāl' bhī nazr-e-ḳhat-e-tansīḳh ho 'jālib'
vahāñ tujh ko shikāyat hai tirā jauhar hai ḳhatre meñ