Habib Jalib

mahtab-sifat log yahan KHak-basar hain

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
mahtāb-sifat log yahāñ ḳhāk-basar haiñ
ham mahv-e-tamāshā-e-sar-e-rāh-guzar haiñ
hasrat sī barastī hai dar-o-bām pe har sū
rotī huī galiyāñ haiñ sisakte hue ghar haiñ
aa.e the yahāñ jin ke tasavvur ke sahāre
vo chāñd vo sūraj vo shab-o-roz kidhar haiñ
so.e ho ghanī zulf ke saa.e meñ abhī tak
ai rāh-ravāñ kyā yahī andāz-e-safar haiñ
vo log qadam jin ke liye kāhkashāñ ne
vo log bhī ai ham-nafaso ham se bashar haiñ
bik jaa.eñ jo har shaḳhs ke hāthoñ sar-e-bāzār
ham yūsuf-e-kan.āñ haiñ na ham la.al-o-gohar haiñ
ham log mileñge to mohabbat se mileñge
ham nuz.hat-e-mahtāb haiñ ham nūr-e-sahar haiñ
Top Urdushayar.com