karāhte hue insān kī sadā ham haiñ
maiñ sochtā huuñ mirī jaan aur kyā ham haiñ
jo aaj tak nahīñ pahuñchī ḳhudā ke kānoñ tak
sar-e-dayār-e-sitam āh-e-nā-rasā ham haiñ
tabāhiyoñ ko muqaddar samajh ke haiñ ḳhāmosh
hamārā ġham na karo dard-e-lā-davā ham haiñ
kahāñ nigah se guzarte haiñ dukh bhare dihāt
hasīn shahroñ ke hī ġham meñ mubtalā ham haiñ