Habib Jalib

yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
yuuñ vo zulmat se rahā dast-o-garebāñ yaaro
us se larzāñ the bahut shab ke nigahbāñ yaaro
us ne har-gām diyā hausla-e-tāza hameñ
vo na ik pal bhī rahā ham se gurezāñ yaaro
us ne maanī na kabhī tīrgī-e-shab se shikast
dil añdheroñ meñ rahā us kā farozāñ yaaro
us ko har haal meñ jiine kī adā aatī thī
vo na hālāt se hotā thā pareshāñ yaaro
us ne bātil se na tā-zīst kiyā samjhauta
dahr meñ us sā kahāñ sāhab-e-īmāñ yaaro
us ko thī kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat
us sā hindū na koī us sā musalmāñ yaaro
us ne sulatānī-e-jamhūr ke naġhme likkhe
ruuh shāhoñ kī rahī us se pareshāñ yaaro
apne ash.ār kī sham.oñ se ujālā kar ke
kar gayā shab kā safar kitnā vo āsāñ yaaro
us ke gītoñ se zamāne ko sañvāreñ yaaro
rūh-e-'sāhir' ko agar karnā hai shādāñ yaaro
Top Urdushayar.com