'faiz' aur 'faiz' kā ġham bhūlne vaalā hai kahīñ
maut ye terā sitam bhūlne vaalā hai kahīñ
ham se jis vaqt ne vo shāh-e-suḳhan chhīn liyā
ham ko vo vaqt-e-alam bhūlne vaalā hai kahīñ
tire ashk aur bhī chamkā.eñgī yādeñ us kī
ham ko vo dīda-e-nam bhūlne vaalā hai kahīñ
kabhī zindāñ meñ kabhī duur vatan se ai dost
jo kiyā us ne raqam bhūlne vaalā hai kahīñ
āḳhirī baar use dekh na paa.e 'jālib'
ye muqaddar kā sitam bhūlne vaalā hai kahīñ